PTI qayadat Social Media ke asar se nikal aaye to is ki Siyasat ke liye achha hoga: Khawaja Asif

Islamabad: Wazir-e-difa Khawaja Asif ne kaha hai ke agar PTI qayadat Social Media ke asar se nikal jaye to yeh is ki Siyasat ke liye achha hoga.
Parliament House mein sahafiyon se guftagu mein Khawaja Asif ne kaha ke woh Maulana ke bare mein kisi aur (N) League rahnuma ki guftagu par tabsira nahin kar sakte.
Un ka kehna tha ke Maulana Fazlur Rehman ne sakht guftagu ki hai aur unhon ne Maulana ke sakht bayanat par siyasi nukta cheeni ki hai.
Wazir-e-difa ne kaha ke Siyasat mein no return wali koi policy nahin hoti, kal ke dost aaj ke dushman aur kal ke dushman aaj ke dost ban jate hain.
Unhon ne kaha ke PTI ke andar se awazein uth rahi hain ke mazahmat nahin balke Siyasat karni chahiye, aur agar PTI Siyasat karegi to ose bahut space mil jayegi.











