Afghan Taliban hukumat dehshatgard groohon ke khilaf qabil-e-tasdeeq iqdamat kare: Wizarat-e-Itelaat

Islamabad: Wizarat-e-Itelaat o Nashriyat ne Afghan Taliban hukumat ke haliya bayanat par reaction dete hue kaha hai ke Pakistan ke salamti se mutaliq jaiz khadshat ko ilzam tarashi ke zariye nazarandaz nahin kiya ja sakta.
Wizarat ke mutabiq Afghan Taliban hukumat ko yaqeeni banana hoga ke Afghan sarzameen Pakistan ke khilaf Dehshatgardi ki karrawaiyon, un ki mansooba bandi aur taiyari ke liye istemal na ho. Pakistan ke security idaron ko mauridd-e-ilzam thehrane se Afghan Taliban hukumat apni zimmedari se bari nahin ho sakti.
Pakistan ke khadshat qiyas aarayion par mabni nahin balke International idaron ki reports aur sarhad paar Dehshatgardi se mutaliq mukhtalif waqiyat un ki sangeeni ko wazeh karte hain.
Aqwam-e-Muttahida aur American reports ka hawala
Bayan mein Aqwam-e-Muttahida ki Salamti Council ki tajziyati moawanat aur pabandiyon ki nigrani karne wali team ki solahwin report (S2025796) ka hawala diya gaya, jis mein Afghanistan mein dehshatgard groohon ki maujoodgi aur sargarmiyon ka jaiza liya gaya hai.
Wizarat-e-Itelaat ne American Lead Inspector General ki January se March 2026 ke dauran Operation Enduring Sentinel se mutaliq Congress ko pesh ki gayi report ka hawala bhi diya. Bayan ke mutabiq report mein kaha gaya ke Afghan Taliban Tehreek-e-Taliban Pakistan (TTP) ko Afghan sarzameen se karrawaiyan karne ki ijazat dete rahe, jabke Taliban ki himayat aur karrawaiyon ke liye zyada azadi milne se Pakistan ke khilaf hamlon mein izafa hua. Report mein TTP ke jangjooon ki tadad chaar se chhe hazar ke darmiyan batayi gayi hai.
Wizarat ke mutabiq yeh jaize Afghan sarzameen par dehshatgardon ki mehfooz panahgahon aur moawin networks ke hawale se Pakistan ke khadshat ki taeed karte hain. Bayan mein kaha gaya ke Afghanistan ke Pakistan ko ghair mustahkam karne ki salahiyat ya aisa karne ki mabinah adam dilchaspi se mutaliq moaqqaf in dastaweezi shawahid ka jawab nahin hai.
Bayan mein Pak-Afghan sarhad par musallah dehshatgardon ki jaanib se dara andazi ki musalsal koshishon, Pakistan ki insidad-e-Dehshatgardi karrawaiyon ke dauran Afghan shehriyon aur dehshatgard groohon ke arkan ki halakaton aur dehshatgard anasir se ghair mulki sakhta aslaha ki baramadgi ka bhi zikr kiya gaya. Wizarat-e-Itelaat ke mutabiq yeh tamam muamalat sanjeeda jaanch partal ke mutaqaazi hain.
Qabil-e-tasdeeq iqdamat ka mutalba
Pakistan ne Kandahar mein taenat hukkam samet Afghan Taliban hukkam ki jaanib se dehshatgard groohon ki mabinah sahulat kari par bhi khadshat zahir kiye hain. Wizarat ka kehna hai ke in khadshat ko mahaz tardeed ke zariye mustarad karne ke bajaye qabil-e-aitemad wazahat aur qabil-e-tasdeeq amali iqdamat ki zaroorat hai.
Bayan mein wazeh kiya gaya ke Pakistan ke security iqdamat ka hadaf Dehshatgardi ke khatrat hain, Afghan awam nahin. Donon mumalik ka aman aur istehkam ek dusre se jura hua hai, jabke Dehshatgardi se paak khitta Afghan awam ke liye bhi utna hi faidamand hai jitna Pakistan ke shehriyon ke liye.
Wizarat-e-Itelaat ne Afghan Taliban hukumat par zor diya ke woh Tehreek-e-Taliban Pakistan, Baloch Liberation Army (BLA) aur un se wabasta groohon samet dehshatgard tanzeemon ke liye har qism ki chashm poshi, sahulat kari ya himayat khatam kare. Sath hi is baat ko yaqeeni banaye ke Afghan sarzameen Pakistan ke khilaf hamlon ki mansooba bandi, taiyari ya un par amal daramad ke liye istemal na ho.
Bayan ke mutabiq Pakistan ke jaiz salamti khadshat aur zaroori difai iqdamat ko Afghanistan ke khilaf dushmani qarar dene se na asal masla hal ho sakta hai aur na hi is se tawajjoh hatayi ja sakti hai. Pakistan apne shehriyon, khudmukhtari aur aqlimi salamiyat ke tahaffuz ke liye tamam zaroori iqdamat jari rakhega.
Wizarat-e-Itelaat ne kaha ke Pakistan bahmi ehtaram, qabil-e-tasdeeq yaqeen dehaniyon aur dehshatgardon ki mehfooz panahgahon, moawin networks aur sarhad paar dara andazi ke khilaf thos iqdamat ki bunyad par zimmedarana baat cheet ke liye tayyar hai. Bayan mein zor diya gaya ke khitte mein paedar aman isi surat mumkin hai jab Afghan Taliban hukumat Afghan sarzameen se hone wali Dehshatgardi ke hawale se Pakistan ke bunyadi khadshat door karne ke liye qabil-e-tasdeeq iqdamat kare.











