Ishaq Dar R4 ijlason mein shirkat ke liye Istanbul pahunch gaye

Istanbul: Naib wazir-e-azam Ishaq Dar ek rozah daure par Istanbul pahunch gaye, jahan woh R4 aur R4 Plus ijlason mein shirkat karenge. Turk sadr Recep Tayyip Erdogan aur mukhtalif mumalik ke wuzara-e-kharija se mulaqaten bhi mutawaqqe hain.
Tarjuman Daftar-e-Kharija ke mutabiq Turk wizarat-e-kharija ke Director General Cihad Erginay aur Pakistani safarti hukkam ne un ka istaqbal kiya.
R4 ijlas mein Pakistan, Turkiye, Saudi Arabia aur Misr ke wuzara-e-kharija shareek honge. R4 Plus ijlas mein France, Germany, Italy aur Britain ke wuzara-e-kharija bhi shirkat karenge.
Tarjuman Daftar-e-Kharija ke mutabiq naib wazir-e-azam Turk sadr Recep Tayyip Erdogan se mulaqat karenge, jabke apne hum mansabon se do tarfa mulaqaten bhi mutawaqqe hain.











