رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 10° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Wazir-e-khazana Aurangzeb: Khapat par mabni taraqqi ki taraf wapsi se bahali char panch saal peechhe jayegi

Wazir-e-khazana Aurangzeb: Khapat par mabni taraqqi ki taraf wapsi se bahali char panch saal peechhe jayegi
File photo: Wafaqi Wazir-e-Khazana Muhammad Aurangzeb — Tasveer: Bashukriya geo.tv

Lahore: Wafaqi wazir-e-khazana senator Muhammad Aurangzeb ne kaha hai ke khapat par mabni taraqqi ki taraf wapas jane se Pakistan ki maashi bahali char se panch saal peechhe ja sakti hai. Woh hafte ko Lahore University of Management Sciences (LUMS) mein “Istehkam se taraqqi tak: Pakistan ka taweel muddati islahati agenda” ke unwan se mukalme se khitab kar rahe the.

Taqreeb ka ehtimam LUMS aur American Business Forum ne kiya. Wazir-e-khazana ne kaha ke mulk ko istehkam se aage barh kar sakhtiyati kamzoriyan door karna hongi.

Un ke mutabiq islahat ke aghaz par judwan khasare mujmui qaumi paidawar ke 12.5 feesad the, jo guzishta maali saal ke ikhtitam tak 2.6 feesad reh gaye. Maali khasara 22 saal ki kam tareen satah par aaya aur current account khasara taqriban 0.1 feesad raha. Zar-e-mubadla zakhair baramadat ke teen mah se zaid ke barabar hain, jo bohran ke urooj par taqriban do hafte the. Guzishta April se ab tak teen baar credit rating behtar hui.

Aurangzeb ne kaha ke istehkam barqarar rakhne ke liye tax, nijkari, qarzon ke intezam aur tariff policy mein mazeed islahat darkar hain. Hukumat teen bijli taqseem kar companiyon ke liye boliyan wasool kar chuki hai. Tariff islahat ka maqsad kham maal aur darmiyani ashya ki daramadi laagat kam karna hai. IT baramadat ek arab dollar se kam se barh kar 4.6 arab dollar ho gayin aur rawan maali saal 5.5 arab dollar mutawaqqe hain.

State Bank ke sabiq governor Dr Raza Baqir ne kaha ke paidawari salahiyat mein sarmaya kari ke baghair sirf sharah-e-mubadla mein radd-o-badal se paidar baramadi numo mumkin nahin. Un ke mutabiq ashya ki baramadat 12 mah ki bunyad par 33 se 34 arab dollar tak bahal hui.

Dr Ali Hasnain ne kam az kam saat feesad salana sharah-e-numo ka hadaf rakhne aur gehri sakhtiyati islahat ki zaroorat par zor diya.