Iran: America ke sath jang bandi mein tamam mahazon par larai mukammal band hona zaroori, Araghchi

Tehran: Irani wazir-e-kharija Abbas Araghchi ne kaha hai ke America ke sath jang bandi mein tamam mahazon par larai mukammal taur par band hona zaroori hai.
Unhon ne bataya ke Pakistan aur Qatar ki salisi mein America ke sath hone wale tamam muzakraat mein yeh mamla uthaya gaya hai.
Abbas Araghchi ne kaha ke khitte ke kisi ek hisse mein jang aur tanazeat hon to khitte ka pur-amn hona mumkin nahin.
Un ka kehna tha ke Irani missilon ne zameen par maujood darjanon America larake tayyare tabah kiye.
Unhon ne khabardar kiya ke Iran ke khilaf kisi bhi nayi fauji karrwai ka bharpoor taqat se jawab diya jayega.











