Islamabad mufahimati yaddasht par amalderamad ki nayi koshish honi chahiye: Irani sadr Pezeshkian

Tehran: Iran ke sadr Masoud Pezeshkian ne Islamabad mufahimati yaddasht par amalderamad ki nayi koshish par zor diya hai. Ghair mulki khabar rasan idare ke mutabiq itwar ko jari aik bayan mein Irani sadr ne Amriki sadr Trump ko abori deal ki nakami ka zimmedar qarar dete hue kaha ke hum muzakirat kar rahe the, Amrikiyon ne sab barbad kiya.
Sadr Pezeshkian ne kaha ke woh samajhte hain ke is deal ki takmeel ki koshish karni chahiye.











