Iran par hamla kal ho sakta hai, Iran ke maamle ko achhe tareeqe se nimtaya: Trump

Washington: Amriki sadr Donald Trump ne kaha hai ke Iran par hamla kal hi ho sakta hai, yeh bhi ho sakta hai ke koi bara muahida tay pa jaye.
Media reports ke mutabiq Donald Trump ne Iran par hamle se mutaliq sawal ke jawab mein kaha ke mein kisi bhi mumkina fauji karrawai ke waqt ka nahin bataunga. Unhon ne kaha ke Iran ke maamle ko bohat achhe tareeqe se nimtaya hai, ab mumkin hai ke baqi kaam bhi mukammal karna pare.











