Pakistan ka Khalilzad ke ilzamat ko bebunyad aur gumrah kun qarar de kar musarrad karne ka elaan

Islamabad: Pakistan ne sabiq American safarkar Zalmay Khalilzad ke us ilzam ko do took alfaz mein musarrad kar diya hai ke woh Afghanon ko Taliban hukumat ke khilaf larne ke liye musallah kar raha hai. Hukumat ne ise bebunyad aur gumrah kun qarar diya.
Khalilzad ne kaha tha ke aisi itlaat hain ke Pakistan Afghanistan mein Taliban ke khilaf Afghanon ko musallah kar raha hai, jabke Pakistani fauj Pakistan mukhalif shiddat pasandon se larne ke liye Afghan bashindon ko bharti kar rahi hai. Un ka yeh bhi kehna tha ke mojooda halaat mein donon mumalik ke talluqat mazeed bigarne ka imkan hai.
Wizarat-e-itlaat o nashriyat ne samaji rabte ki website X par jari fact check mein kaha ke Khalilzad ke daway purane qayas arai par mabni bayaniyon ko dohrane ke mutaradif hain aur un se zati agenda ki aksi hoti hai. Wizarat ke mutabiq is agenda ka maqsad Afghan Taliban hukumat ko taqwiyat dena hai, jis par us ne Dehshatgardi ki moavanat ka ilzam lagaya.
Wizarat ne kaha ke Afghan Taliban ke zer-e-control ilaqon se sargaram Dehshatgard tanzimon ke khilaf Pakistan ki jaiz insidad-e-Dehshatgardi karrwaiyon ko deegar muamlat se khalt malt karna khas taur par gumrah kun hai.
Hafte ko jari aik alag bayan mein wizarat ne kaha ke Afghan Taliban hukumat ki janib se bar bar diye jane wale mujmui inkar se Pakistan ke jaiz security khadshat khatam nahin ho sakte.











