Trump ka Obama par Iran ko arbon dollar dene aur jawhari hathiyar ki raah hamwar karne ka ilzam

Washington: American sadr Donald Trump ne sabiq sadr Obama ki tanqeed par rad-e-amal dete hue kaha hai ke Obama intihai na-ahal sadr the. Un ke mutabiq Obama ne Iran ko arbon dollar diye aur jawhari hathiyar banane ki raah faraham ki.
Ghair-mulki khabar rasan idare ke mutabiq sadr Trump ne kaha ke Obama ne bad-unwan Hillary Clinton aur Kamala Harris ke liye bhi intikhabi muhim chalayi, jo dono buri tarah haar gayi thin.
American sadr ne kaha ke Michigan ke log aise mutakabbir, khuli sarhadon ke hami aur jaali doctor ke hami nahin, aur unhon ne Michigan mein bhari aksariyat se kamyabi hasil ki. Un ka kehna tha ke unhon ne Michigan mein auto industry bahal ki, Air Force ka adda wapas laya aur pehle se zyada mulazmaten paida kin. Unhon ne Michigan ke logon se Mike Rogers ko vote dene ki apeal ki.
Idhar Obama ne Trump ko tanqeed ka nishana bante hue kaha ke jab woh sadr the to Iran ke paas jawhari hathiyar maujood nahin the, kyunke un ki intizamiya ne safarat kari ke zariye aisa muahida kiya tha jis ne Tehran ko jawhari hathiyar banane se rok rakha tha.
Obama ne yeh bayan American riyasat Ohio mein Democrats ki intikhabi muhim ke dauran diya. Un ka kehna tha ke Iran ke khilaf maujooda jang ka buniyadi jawaz yeh bataya gaya tha ke Tehran ko jawhari hathiyar hasil karne se roka jaye, taham un ke mutabiq yeh masla 2015 ke jawhari muahide ke zariye pehle hi hal ho chuka tha.
Obama ne kaha ke un ki intizamiya ko Iran ke jawhari program par qabu pane ke liye missile daghne ke bajaye safarat kari ka rasta ikhtiyar karna pada. Unhon ne yaad dilaya ke Trump ne 2018 mein is muahide se America ko nikal liya tha.











