America ka Saudi Arabia se safarti amla wapas bulane ka faisla, Iraq safar se gurez ki hidayat mein tawseeh

Washington: America ne Saudi Arabia mein ghair hungami safarti amle aur ahl-e-khana ko fori rawangi ka hukm de diya hai. Jordan, Qatar, UAE aur Lebanon mein bhi americi safarti amle ki tadad kam ki ja rahi hai.
Americi TV ke mutabiq americi intelligence ne Iran par hamlon ki soorat mein Mashriq-e-Wusta mein americi ahlkaron par Irani hamlon ke khadshat zahir kiye, jis ke baad inkhla tez kar diya gaya.
Mumkina khatraat ke paish-e-nazar americi shehriyon ko Iraq ka safar na karne ki hidayat mein tawseeh kar di gayi hai.











