Iran ka America ko dobara fauji karrawai se khabardar, Abbas Araghchi ka bayan

Tehran: Iran ne America ko ek baar phir fauji karrawai se khabardar kiya hai.
Irani wazir-e-kharija Abbas Araghchi ne apne bayan mein kaha ke jang ki baatein ho rahi hain, lekin jang ho ya na ho, Iran ki policiyan tabdeel nahin hongi.
Unhon ne kaha ke agar America ke paas zara si bhi aql o danish hai to woh Iran par dobara hamla nahin karega, America do martaba hamla kar ke is ke nataij dekh chuka hai.
Irani wazir-e-kharija ne mazeed kaha ke khitte mein aman o istehkam ka wahid rasta bairooni mudakhalat ke baghair ilaqai mumalik ka pur-aman baqaye bahami hai, Iran khitte ke tamam mumalik ke sath taawun ke liye tayyar hai.











