Taylor Swift neelay libas mein Cinderella look ki wajah se muddahon ki tawajjo ka markaz

New York: Aalmi shohrat yafta American gulukara Taylor Swift ka Cinderella look dekh kar muddah hairan reh gaye aur un ki tareef kiye baghair na reh sake.
Ghair mulki media ke mutabiq ek taqreeb ke liye 36 salah Taylor Swift neelay rang ke haseen libas mein nazar ayin. Un ki tasaweer aur Videos Social Media par bhi khoob dikhai dein.
Libas aur andaz dekh kar muddahon ne foran un ki tareef shuru kar di. Muddahon ki badi tadad unhein Cinderella kehne lagi.
Muddahon ka Social Media par kehna hai ke Taylor Swift ka neelay rang ka gown bilkul kisi pariyon ki kahani jaisa lagta hai.
Mauzuaat:America











