Makkah Mukarramah ki hifazat ke liye kisi muahide ki zaroorat nahin: Khawaja Asif

Nijee TV ke programme mein guftagu karte hue Khawaja Asif ka kehna tha ke Makkah muahida na bhi ho to muqaddas maqamat ki hifazat hamara fareeza hai, mera khayal hai woh soorat-e-haal aa gayi hai jahan Makkah muahida nafiz hona hai.
Unhon ne kaha ke Makkah muahida hamare upar lagu hota hai aur hum apna farz ada karenge, tafseelat mein nahin ja sakta lekin hum Makkah muahide par amal ke paband hain.
Un ka kehna tha ke Saudi Arabia aur Houthiyon ke darmiyan kasheedagi mazeed shiddat ikhtiyar kar jati hai aur larai mein tausee hoti hai to Pakistan aur Turkiye wazeh alfaz mein amali aur safarti taur par Saudi Arabia ke saath khare honge.
Khawaja Asif ne kaha ke Houthi Saudi Arabia par hamle kar rahe hain aisi soorat mein Iran side le to meri nazar mein aql mandi wali baat nahin hogi aur is ke imkanat bhi bohat kam hain, saath hi Pakistan ne bhi paigham bhijwa diya hai aur Saudi Arabia ne bhi mutala kiya hai.
Wazir-e-difa ka kehna tha ke ek aisi soorat-e-haal mein jab Iran ki America aur Israel ke saath khaleej jang nazuk aman ke saath ghair yaqeeni ki soorat-e-haal par khari hai to aise mein ek aur naya mahaz kholna ya tausee dene ke bajaye danishmandi ka taqaza yehi hai is ko barhaya na jaye aur barre khalfishar mein tabdeel na kiya jaye.











