رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 17° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Lahore mein Liaquat Ali Khan ki 75wein barsi par nashist, muqarrireen ka nayi nasl ko mashahir se roshnas karane par zor

Lahore mein Liaquat Ali Khan ki 75wein barsi par nashist, muqarrireen ka nayi nasl ko mashahir se roshnas karane par zor

Lahore: Pakistan ke pehle wazir-e-azam aur Tehreek-e-Pakistan ke mumtaz rahnuma Liaquat Ali Khan ki 75wein barsi ke mauqe par Aiwan Karkunan Tehreek-e-Pakistan Lahore mein khusoosi nashist munaqid hui. Nashist ki sadarat vice chairman Idara Nazriya-e-Pakistan o sadr ex-service men society General (r) Abdul Qayyum ne ki, jabke Awami Jamhooriya China se aaye ek wafd ne khusoosi shirkat ki.

General (r) Abdul Qayyum ne kaha ke Liaquat Ali Khan hamari tareekh ka aisa sunehra baab hain jin ke tazkire ke baghair Pakistan ki tareekh namukammal hai. Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah aur Liaquat Ali Khan ne Tehreek-e-Pakistan mein Musalmanan-e-Barre Saghir ki rahnumai ki aur un ki inthak kawishon se Pakistan maraz-e-wujood mein aaya. Unhon ne kaha ke jo beej boya gaya tha, ab is darakht ki abyari hum sab ne mil kar karni hai.

Muqarrireen ke khayalat

Member Board of Governors Idara Nazriya-e-Pakistan Professor Abid Sherwani ne kaha ke Liaquat Ali Khan intehai aala kirdar ke hamil the aur unhon ne apna tan man dhan Pakistan ke liye qurban kar diya. Un ke mutabiq unhon ne aala Taleem hasil ki, Quaid-e-Azam ke motamid saathi bane, aur qiyam-e-Pakistan ke baad difai zaruriyat ke liye Wah Ordnance ka qiyam un ka bada karnama hai.

Liaquat Ali Khan ke bhatije Nawab Farhad Ali Khan ne kaha ke nayi nasl ko mashahir Tehreek-e-Pakistan ke afkar o nazriyat aur hayat o khidmaat se aagah karna azhad zaroori hai. Unhon ne kaha ke Liaquat Ali Khan be-loos insan the, India mein un ki bohat badi jaidad thi lekin Pakistan aa kar unhon ne koi claim dakhil na karwaya. Un ka kehna tha ke jab tak aakhri muhajir bhi yahan abad nahin ho jata, woh apna claim dakhil nahin karwayenge.

Punjab Assembly mein Muslim League (N) ke chief whip Rana Muhammad Arshad ne Idara Nazriya-e-Pakistan ko qaumi heroes ke ayyam baqaidagi se manane par khiraj-e-tehseen pesh kiya. Unhon ne kaha ke 1945-46 ke intikhabat mein kamyabi ke baad Liaquat Ali Khan mutahida Hindustan ke wazir-e-khazana bane aur jo budget pesh kiya, ise ghareeb aadmi ka budget kaha jata hai.

Convener Madar-e-Millat Centre Professor Dr Parveen Khan ne kaha ke Liaquat Ali Khan Quaid-e-Azam ke dast-e-rast the aur unhon ne hi Quaid-e-Azam ko qail kiya ke woh Hindustan wapas aa kar Musalmanan-e-Barre Saghir ki rahnumai karen. Chunancha un ke mashware par Quaid-e-Azam wapas aaye.

Mahir-e-Taleem Professor Sharafat Ali Khan ne kaha ke qiyam-e-Pakistan ke baad Qarardad-e-Maqasid ki manzoori Liaquat Ali Khan ke daur-e-hukumat ka bohat bada karnama hai. Is qarardad mein Allah Taala ko hakim-e-aala tasleem kiya gaya hai aur yeh aaj bhi mash’al-e-rah hai.

Professor Halima Sadia ne kaha ke Liaquat Ali Khan aakhri dam tak mulk o qaum ke liye fikarmand rahe aur aakhri waqt mein bhi un ki zaban par Pakistan ke liye dua thi. Mahir-e-Taleem Shahid Mahmood ne kaha ke un ka tazkira aaj bhi zinda hai aur rooh-e-millat aaj bhi hamare darmiyan mojood hai.

Secretary Idara Nazriya-e-Pakistan Imran Gul ne kaha ke Liaquat Ali Khan Tehreek-e-Pakistan ke qad aawar rahnuma the. Quaid-e-Azam ne unhein apna dast-e-rast qarar diya, All India Muslim League ka secretary aur Pakistan ka pehla wazir-e-azam namzad kiya. Shahadat ke waqt un ke aakhri alfaz the: Allah Pakistan ki hifazat farmaye.

Secretary Tehreek-e-Pakistan Workers Trust Muhammad Saifullah Chaudhry ne kaha ke Tehreek-e-Pakistan aur baadazan tameer-e-Pakistan ke liye Liaquat Ali Khan ne naqabil-e-faramosh khidmaat anjam den aur un ki behtareen policies ne nawzaida mamlikat ko apne qadmon par khara hone mein badi madad di.

Programme mein Additional Secretary Idara Nazriya-e-Pakistan Mujahid Hussain Syed, Samina Bushra, asatiza, talba aur mukhtalif shobaha-e-zindagi se talluq rakhne wale afraad ne badi tadad mein shirkat ki.

Mauzuaat: