Islamabad mein ghair mulki bashinde ke ghar musallah dakaiti, muqadma darj

Muqadme ke matan ke mutabiq paanch daku ghair mulki bashinde ko yarghamal bana kar 80 lakh rupay aur qeemti ashya loot kar farar ho gaye, muqadma darj kar liya gaya.
Muqadme ke mutabiq paanch mein se aik daku police wardi mein tha, mulzimaan taqriban derh ghante tak ghar mein maujood rahe.
Mulzimaan ne security guard, bawarchi aur translator ko bhi yarghamal banaya, ghar ki talashi ke dauran mulzimaan ne 80 lakh rupay loote.
Police ne dakaiti ki wardat ke mukhtalif shawahid ikathe karke tehqiqat shuru kar di hain.
Mauzuaat:Islamabad











