Youm-e-Difa ke moqe par musallah afwaj ka shuhada-e-watan ko khiraj-e-aqeedat

ISPR ke mutabiq Field Marshal Syed Asim Munir, Naval Chief aur Air Chief ne shuhada-e-Pakistan ko salam pesh kiya, musallah afwaj ki jaanib se ghaziyon aur shuhada ke ahl-e-khana ko bhi khiraj-e-tahseen aur izhar-e-tashakkur kiya gaya.
Bayan ke mutabiq 6 September qaumi ittehad, jurat aur azm ki la-zawal alamat hai, 1965 ki jang mein Pakistani qaum madar-e-watan ke difa ke liye muttahid ho kar khari hui, shuhada-e-Pakistan farz, ghairat aur qurbani ki aala tareen iqdar ke ameen hain.
Pak Army ke tarjuman idare ki jaanib se jari bayan mein mazeed kaha gaya ke maidan-e-jang, fizaon aur samandaron mein watan ke muhafizon ne azeem qurbaniyan dein, hamare shuhada ke ahl-e-khana azm, hausle aur sabit qadmi ki daimi alamat hain.











