Makkah, Jeddah aur Taif ke liye Houthi hamlon ka intibah jari, chand minute baad wapas le liya gaya

Riyadh: Saudi Arabia ke mehkama shehri difa ne mulk ke maghribi hisse ke chaar ilaqon mein mumkina khatre se mutaliq hangami intibah jari kiya, jin mein Makkah Mukarramah, Jeddah, Taif aur sahili shehr Yanbu shamil hain. Taham yeh intibah jari hone ke chand minute baad hi wapas le liya gaya.
Aik khabar rasan idare ke mutabiq Saudi shehri difa ne mutaliqa ilaqon ke rehaishiyon ko hidayat ki thi ke woh fori taur par qareebi mehfooz maqam par muntaqil ho jayen.
Makkah Mukarramah musalmanon ke liye muqaddas tareen shehr hai, jabke Jeddah Bahira Ahmar ke sahil par waqe aik aham shehr hai.
Mehkama shehri difa ne intibah wapas lene ke baad bhi shehriyon ko mohtat rehne ki hidayat ki. Hukkam ne missiloon aur drones ko rokne ya un ke khilaf karrawai se mutaliq tasaweer aur maloomat Social Media ya deegar zaraye par share karne ke khilaf qanooni tanbeeh bhi dohrai.
Report mein fori intibah jari kiye jane ki wajah, kisi missile ya drone ki mojoodgi aur mumkina nuqsan se mutaliq tafsilat faraham nahin ki gayin. Alert wapas liye jane ke baad in ilaqon mein kisi jaani ya maali nuqsan ki ittila bhi report mein shamil nahin hai.











