Shumali Korea ke sarbarah Kim Jong Un China pahunch gaye

Beijing: Shumali Korea ke sarbarah Kim Jong Un Awami Jamhuriya China pahunch gaye. Ghair mulki media ke mutabiq woh dariya-e-Yalu par qaim kiye jane wale naye pul ke zariye China ke sarhadi shehr Dandong pahunche.
Is mauqe par Chini wazir-e-azam Li Qiang ne Shumali Korea ke sarbarah ka istaqbal kiya.
Kim Jong Un Chini afwaj ki Korea ki jang mein shamil hone ke yadgar din ke hawale se China ke daure par pahunche hain.
Mauzuaat:China











