Trump aur Netanyahu ki dhamkiyan taqat nahin, bebasi ki alamat hain: Irani Supreme Leader ke mushir

Irani Supreme Leader ke mushir Mohammad Mokhber ne American sadr Donald Trump aur Israeli wazir-e-azam Netanyahu ki dhamkiyon par reaction dete hue kaha hai ke in bayanat se taqat nahin balke mayoosi aur bebasi ka izhar hota hai.
Jari bayan mein Mohammad Mokhber ne kaha ke Iran apne dushman ki kamzoriyon se bakhubi waqif hai aur ghair mutawaqqe iqdamat ke zariye surat-e-haal ke andaze tabdeel kiye ja sakte hain.
Unhon ne tel aur tawanai ko dabao ke hathiyar ke taur par istemal karne ka zikr karte hue kaha ke aise iqdamat khitte ki surat-e-haal par asar andaz ho sakte hain.
Mohammad Mokhber ka kehna tha ke is khitte mein hazaron saal se abad Irani qaum aaj bhi mojood hai, jabke un ke baqaul Israeli hukumat ko apne wujood ke khatme ka khadsha lahaq hai.
Irani mushir ke is bayan ko America aur Israel ke hawale se Tehran ke sakht mauqif ke tanazur mein dekha ja raha hai.
Zer-e-samundar cables par mumkina hamlon ki tayyari
Dusri janib Iran ke do senior security hukkam ne bataya hai ke Tehran ne America aur Israel ki janib se dobara hamlon ki surat mein khaleej mein zer-e-samundar bichhai gayi muwasalati cables ko nishana banane ke tafseeli mansube tayyar kar liye hain.
Yeh bayan Irani hukkam ki un intabahat ke baad samne aaya hai jin mein kaha gaya tha ke Washington ke sath safarat kari nakam hone aur naya tanaza shuru hone ki surat mein khitte ki zer-e-samundar cables bhi mumkina ahdaf mein shamil ho sakti hain.
Naam zahir na karne ki shart par baat karne wale donon hukkam ne hamlon ke mumkina tareeqa kaar ya maqamat se mutaliq tafsilat faraham nahin kin.
Taham in mein se ek ehlkar ke mutabiq Iran ka maqsad hamle ke baad cables ki marammat mein rukawat dalna hoga taake internet connections aur digar muwasalati nizam mein paida hone wala ta’attul taweel arse tak barqarar rahe.











