Sabiq American fauji ka Area 51 ke qareeb teen reptilian makhlooqat ko halak karne ka daawa

Washington: Sabiq American army sniper Nick Bates ne daawa kiya hai ke Nevada mein waqe Area 51 ke qareeb ek khufia fauji operation ke dauran American faujiyon ne 3 aliens ko halak kiya.
Unhon ne yeh daawa ek podcast mein kiya. Un ke mutabiq American faujiyon ne 3 reptilian jaisi dikhne wali makhlooqat ke khilaf jang ladi aur unhein halak kar diya.
Nick Bates ka yeh bhi daawa hai ke is purasrar jhadap mein ek American fauji bhi halak hua, jis ki maut ko baqaida taur par ek tarbiyati hadsa zahir kar ke chhupaya gaya.
Mubayyana waqiye ki tafseel
Nick Bates wahan Ukraine jang par ek dastavezi film banane gaye the. Naam zahir na karne wale ek fauji ahlkar ne daawa kiya tha ke is ki unit ko Fort Bragg se fori taur par Area 51 rawana kiya gaya tha.
Yeh iqdam us waqt uthaya gaya jab zer-e-zameen installation par tainat amle ne radio ke rozmarra ke mamool ke checks ka jawab dena band kar diya tha. Tehqiqat ke liye bheji gayi rescue team bhi mubayyana taur par ghayab ho gayi thi.
Muqam par pahunchne par faujiyon ko mubayyana taur par ghair manoos energy weapons faraham kiye gaye aur phir unhein helicopter ke zariye ek zer-e-zameen surang mein muntaqil kiya gaya.
Nick Bates ke mutabiq team ka samna ek aisi makhlooq se hua jo do tangon par chalti thi, dekhne mein reptilian lagti thi aur us ke paas bhi isi qism ka ek hathiyar tha.
Mubayyana taur par is makhlooq ne firing kar di jis se ek American fauji halak ho gaya, jabke baqi mandah faujiyon ne jawabi firing kar ke teenon aliens numa makhlooqat ko halak kar diya.
Unhon ne mazeed daawa kiya ke is fauji ki maut ko chhupaya gaya aur sarkari record mein ise tarbiyati mashq ke dauran hadse mein halak hone ke taur par darj kar liya gaya.
Nick Bates ke mutabiq unhon ne shuru mein is kahani par sawal uthaya tha, lekin woh us waqt shadeed tashweesh mein mubtila ho gaye jab ek aur fauji ahlkar ne mubayyana taur par un ki gardan dabooch li aur is baare mein baat karne ke khilaf sakht warning di.
Shawahid samne nahin aaye
Taham in intehai hairat angez daawon ki taeed ke liye koi bhi fauji record, tasaweer ya azadana shawahid samne nahin aa sake hain.
Nevada mein waqe Area 51 taweel arse se aliens ki kahaniyon ka markaz raha hai.











