Yaum-e-Siyah Kashmir: Sadr Zardari aur Wazir-e-azam Shehbaz Sharif ka aalmi biradari se kirdar ada karne ka mutalba

Islamabad: Sadr-e-mamlikat Asif Ali Zardari aur Wazir-e-azam Shehbaz Sharif ne Yaum-e-Siyah Kashmir ke mauqe par aalmi biradari bil-khusoos Aqwam-e-Muttahida aur International insani huqooq ki tanzeemon se mutalba kiya hai ke woh Bharati ghair qanooni zer-e-tasalut Jammu o Kashmir mein insani huqooq ki soorat-e-haal ka sanjeedgi se notice lein aur tanaza Jammu o Kashmir ke munsifana, pur-aman aur payedar hal ke liye mauser kirdar ada karein.
Junubi Asia mein payedar aman o istehkam ka qayam Jammu o Kashmir ke tanaze ke munsifana aur pur-aman hal ke baghair mumkin nahin. Yaum-e-Siyah Kashmir aaj 27 October ko manaya ja raha hai.
Sadr-e-mamlikat ka paigham
Sadr Asif Ali Zardari ne apne paigham mein kaha ke 27 October 1947 ko Bharati afwaj Srinagar mein utarin, jis ke baad Jammu o Kashmir ki tareekh mein ek taweel aur dardnak baab ka aghaz hua. Yeh din Kashmiri awam ki derina umangon aur haq-e-khud iradiyat ke liye un ki jaddojehad ke hawale se Pakistan ki bharpoor taeed ka eaada hai.
Unhon ne kaha ke guzishta aath dahaiyon se Bharati ghair qanooni zer-e-tasalut Jammu o Kashmir ke awam tashaddud, jabr aur bunyadi huqooq ki sangeen khilaf warziyon ka shikar hain. Bunyadi azadiyon par musalsal pabandiyan, fauji maujoodgi mein numayan izafa, giriftariyan aur insani huqooq ki khilaf warziyon ki reports baais-e-tashweesh hain.
Sadr ne kaha ke 5 August 2019 ke baad Bharat ne yak tarfa taur par Jammu o Kashmir ki aini aur qanooni haisiyat tabdeel karne ki koshish ki, jis ke baad soorat-e-haal mazeed bigad gayi. Unhon ne kaha ke Pakistan Bharati ghair qanooni zer-e-tasalut Jammu o Kashmir ke awam ki ghair mutazalzal akhlaqi, safarti aur siyasi himayat jari rakhega.
Wazir-e-azam ka paigham
Wazir-e-azam Shehbaz Sharif ne kaha ke aaj ka din 79 baras qabl Bharati afwaj ke Srinagar mein dakhle se shuru hone wale almnak baab ki yaad dilata hai. Is roz se ab tak Jammu o Kashmir ke awam ko Aqwam-e-Muttahida ki Security Council ki mutaliqa qarardadon mein tasleem shuda haq-e-khud iradiyat se mehroom rakha gaya hai.
Unhon ne kaha ke Kashmiri siyasi rehnumaon, karkunon aur insani huqooq ke muhafizon ki taweel qaid baais-e-tashweesh hai. Bharat Kashmiri awam ke jaiz siyasi izhar ko dabane ki koshishen jari rakhe hue hai. Jabr o istibdad ke zariye Kashmiri awam ki umangon ko dabaya nahin ja sakta.
Wazir-e-azam ne kaha ke hukumat aur Pakistan ki awam Bharat ke ghair qanooni zer-e-qabza Jammu o Kashmir ke awam ke saath ghair mutazalzal yakjehti ka eaada karti hain aur har qaumi o International forum par un ke jaiz huqooq ke liye awaz buland karti rahengi. Unhon ne dua ki ke Kashmiri awam ko payedar aman, waqar aur salamati par mabni mustaqbil naseeb ho.











