Iran ka America par muzakirat mein sanjeedgi na dikhane ka ilzam, Ismail Baqai ka bayan

Tehran: Iran ne America par muzakirat mein sanjeeda na hone ka ilzam aid kiya hai. Irani wizarat-e-kharija ke tarjuman Ismail Baqai ne sahafiyon se guftagu mein kaha ke America guzishta do baras se muzakirat aur apni sharait musallat karne ke darmiyan farq nahin kar pa raha.
Un ke mutabiq American fareeq muzakirat ko bahami mufahimat ke bajaye apni sharait manwane ka zariya samajhta hai, jis se us ki sanjeedgi zahir hoti hai.
Ismail Baqai ne kaha ke Iran ne apne awam aur aalmi biradari par wazeh kar diya hai ke woh safarat kari ke liye sanjeeda aur sabit qadam hai. Iran ne kabhi muzakirat ka rasta band nahin kiya aur woh safarti koshishon ke liye apne azm par qaim hai.











