Chris Brown ko London night club hamle par mutal saza suna di gayi

London: Amriki gulukar Chris Brown ko peer ke roz 2023 mein London ke ek night club mein music producer par tequila ki bottle se hamla karne ke jurm mein fori jail ki saza se bacha liya gaya.
37 sala Brown ko Southwark Crown Court mein aath maah qaid ki saza sunai gayi. Yeh saza 12 maah ke liye mutal kar di gayi. Unhon ne February 2023 mein Tape night club mein Abraham Diaw par hamle ke ilzam mein affray (awami maqam par ladai jhagde) ka jurm tasleem kar liya tha.
Mutal saza ke tahat Brown ko aath maah jail mein sirf isi surat guzarne honge jab woh aainda ek saal ke andar koi aur jurm karenge.
Judge Tony Baumgartner ne kaha ke yeh hamla sangeen tha. Unhon ne kaha: "Bhare hue night club mein is nauiyat ka tashaddud sangeen hai. Is se na sirf us shakhs ko, jis ke khilaf yeh kiya gaya, balke qareeb maujood dusre logon ko bhi wazeh khatra lahaq hota hai."
Judge ne kaha ke Brown ne Diaw ke sar par tequila ki bottle se do baar war kiya aur use qabu mein kiye jane tak hamla jari rakha. Unhon ne Brown se kaha: "Sar par shishe ki bottle ke baar baar istemal ne aap ke tarz-e-amal ko khaas taur par khatarnak bana diya."
Brown ke vice coach 40 sala Omololu Akinlolu bhi hamle mein shareek the. Unhon ne July mein affray ka jurm tasleem kiya tha. Donon afrad ne hamle aur sangeen jismani nuqsan pohanchane ki koshish ke zyada sangeen ilzamat se inkar kiya tha. Akinlolu ko chaar maah qaid ki saza sunai gayi, jo 12 maah ke liye mutal hai.
affray se murad tashaddud ka aisa istemal ya dhamki hai jis se kisi shakhs ko apni hifazat ka khauf lahaq ho jaye. Brown ko zyada se zyada teen saal qaid ka samna tha. Istighasa ne is waqiye ko "bila ishtial hamla" qarar diya tha.
Judge Baumgartner ne saza aath maah tak mehdood rakhte hue Brown ki janib se tashaddud ke aghaz, bottle ke baar baar war aur Diaw ke wahan se hatne ki koshish ke dauran Brown ki musalsal jarehiyat ka zikr kiya. Unhon ne mansooba bandi ki adm maujoodgi, hamle ke mukhtasar dauraniye, jo taqriban 20 second tha, aur Brown ke kam umr bachon ko bhi madde nazar rakha.
Brown aur Akinlolu ko hukm diya gaya ke woh har ek istighasa ke akhrajat ka kuch hissa ada karen.
England aur Wales mein 12 maah ya us se kam ki qaid ki sazayen khud ba khud mutal ho jati hain, illa yeh ke judge ko aise ghair mamooli halat nazar aayen jin mein fori qaid zaroori ho.
Brown ko May 2025 mein us waqt giraftar kiya gaya jab woh hamle ke baad pehli baar Britain wapas aaye. Pehle unhein zamanat dene se inkar kar diya gaya. Baad mein 50 lakh pound ki security fees ada karne ka wada karne par unhein reha kar diya gaya.
Brown ke khilaf tashaddud se mutaliq muqadmat ka tawil record hai. 2009 mein apni us waqt ki girl friend, gulukara Rihanna par hamle ka jurm tasleem karne par unhein paanch saal ki probation di gayi. 2014 mein Washington DC mein ek hotel ke bahar ek shakhs par hamle ke ek aur ilzam mein woh jail gaye.
Woh 2011 aur 2025 mein behtareen R&B album ke Grammy Awards jeet chuke hain.











