America ki hirasat mein maujood Afghanon ko Pakistan deport karne ke liye parwaz ka mansooba, ittehadiyon ke rishtedar bhi shamil

Washington: America mein immigration hirasat mein rakhe gaye Afghanon ko bataya ja raha hai ke unhein Pakistan deport kiya jaye ga. Yeh baat mansoobon se aagah ek wafaqi hukumati ahalkar ne batayi.
Hirasat mein maujood apne muwakkileen ke khadshat sunne wale wukala aur wakalati tanzeemon ne bhi in ittilaat ki tasdeeq ki.
Deportation ki mumkina parwaz ka elan nahin kiya gaya. Ahalkar aur wakalati karkunon ke mutabiq yeh parwaz aainda chand hafton mein rawana hone ki tawaqqo hai.
Immigration afsaran ne hirasat mein maujood baaz afraad ko bataya hai ke woh is parwaz mein sawar honge. AfghanEvac ke mutabiq un mein aise Afghanon ke rishtedar bhi shamil hain jinhon ne Kabul ke suqoot se pehle American fauj ke sath kaam kiya tha. Yeh tanzeem American faujiyon ki madad karne wale Afghanon ke liye awaz uthati hai.
Parwaz mein shamil kiye jane wale mumkina afraad ki tadad ke bare mein mazeed tafseelat dastiyab nahin. Rawangi ki tarikhein aur maqam bhi aam nahin kiye gaye. Is bare mein bhi koi malumat nahin ke Pakistan mein un ki amad ke liye agar koi intizamat hain to woh kya hain.
American afwaj ke sath kaam karne wale bohat se Afghan aur un ke ahl-e-khana August 2021 mein Taliban ke iqtidar sambhalne ke baad Afghanistan chhor gaye the. Un mein se baaz ne baad azan America mein tahaffuz ki darkhwast ki.
Mubayyina mansoobe ke tahat logon ko Afghanistan ke bajaye Pakistan bheja jaye ga.











