رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 22° / 11°Fajr 05:22Zuhr 12:16Asr 16:11Maghrib 17:48Isha 19:09
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Lam Fashion Week ka teesra roz, mashriqi o maghribi malbusat ki numaish

Lam Fashion Week ka teesra roz, mashriqi o maghribi malbusat ki numaish
File photo: Expo Center Lahore — Tasveer: Bashukriya Wikipedia

Lahore: Expo Centre Lahore mein jari char roza Lam Fashion Week ke teesre roz maroof aur naye designers ne arusi, mashriqi aur maghribi malbusat ki collections pesh keen. Namwar adakara Sonya Hussain designer Fahad Hussain ke show ki showstopper baneen.

Din ke pehle show mein LFW Retail Runway ke tehat MISL ki collection Sham Sehar pesh ki gayi, jis mein ghuroob-e-aftab aur din se raat mein dhalne ke manazir se mutasir designs shamil thay. Is ke baad Aban Zohan ki tehwaron ke liye tayyar kardah collection pesh ki gayi. Agha Jan ne Pakistani rivayati malbusat ko jadeed andaz mein pesh kiya, jabke Malhar Resurgence collection mein zari, zardozi aur hath se kiye gaye rivayati kaam ko numayan kiya gaya.

Teesre roz ke doosre show, LFW Edit mein U and I by Umar Umrana ki collection pesh ki gayi. Is ke baad Project 1959, Sadbarg aur Armeen Hayy Jan ki takhliqat ramp par pesh ki gayin.

Designer showcase mein MO by Mohsin Tosli ki collection ke baad Suchaj by Mehak Junaid ki An Ode to Old World Charm pesh ki gayi. Is show mein brand Richie Million ki collection bhi shamil thi.

Teesre roz ke aakhri show mein maroof designer Fahad Hussain ki collection Print Museum: An Atlas of Empire pesh ki gayi, jis mein adakara Sonya Hussain showstopper thin.

Lam Fashion Week mein Hussain Rehar, HSY, Karma, Nikki Nina, Deepak Perwani, Mahgul, Warda Saleem, Sublime by Sara, Zaheer Abbas, Zainab Chottani, The Pink Tree, Faiza Samee, Khaadi, Imran Rajput, Sania Maskatiya, Mirath by Nilofer Shahid, Mehdi aur deegar designers ki collections bhi pesh ki ja rahi hain.