Russia ko muzakrat se door nahin karna chahta, pabandiyan hatana isi koshish ka hissa: Trump

Washington: Amriki sadr Donald Trump ne kaha hai ke woh aisa koi qadam nahin uthana chahte jis se Russia muzakrat se door ho jaye.
Ghair-mulki khabar-rasan idare ke mutabiq ek bayan mein unhon ne kaha ke Russi bar-amadat se mutaliq pabandiyon aur tariff ko hatane ka faisla Russia ko muzakrat ki maiz par barqarar rakhne ki ek koshish hai.
Trump ka kehna tha ke Russia ke hawale se un ka faisla bohat sada hai. "Mein Russia aur Ukraine ke darmiyan jari jang mein aman ke liye muzakrat kar raha hoon."











