رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 10° Juzvi badal 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Rozgar ke liye bairon-e-mulk jane wale aala taleem yafta Pakistanion ki tafsilat National Assembly mein pesh

Rozgar ke liye bairon-e-mulk jane wale aala taleem yafta Pakistanion ki tafsilat National Assembly mein pesh
File photo: Qaumi Assembly Pakistan ki imarat — Tasveer: Bashukriya Wikipedia

Islamabad: Pakistan se rozgar ke liye bairon-e-mulk jane wale shehriyon ki tafsilat National Assembly mein pesh kar di gayin. Dastawezat ke mutabiq jane walon mein doctors, engineers, asatiza, nurses, IT professionals, managers, accountants aur deegar shobon ke mahireen shamil hain.

Faraham kardah aadad o shumar mein 2024 ke dauran 45 hazar 830, 2025 mein 28 hazar 726 aur 2026 mein ab tak 15 hazar 850 aala taleem yafta Pakistanion ke bairon-e-mulk jane ki tafsilat shamil hain.

Managers, engineers aur accountants

Dastawezat ke mutabiq 2024 mein 23 hazar 674 managers bairon-e-mulk rozgar ke liye gaye. 2025 mein yeh tadad 9 hazar 562 jabke 2026 mein ab tak 5 hazar 190 rahi.

Engineers ki tadad 2024 mein 8 hazar 15, 2025 mein 5 hazar 945 aur 2026 mein ab tak 3 hazar 605 rahi.

Accountants mein se 2024 mein 4 hazar 779, 2025 mein 4 hazar 305 aur 2026 mein ab tak ek hazar 771 afrad bairon-e-mulk gaye.

Doctors, asatiza aur tibbi shoba

2024 mein 3 hazar 625 doctors bairon-e-mulk gaye, 2025 mein yeh tadad 3 hazar 795 jabke 2026 mein ab tak 2 hazar 93 rahi.

Asatiza mein se 2024 mein ek hazar 729, 2025 mein ek hazar 725 aur 2026 mein ab tak ek hazar 457 bairon-e-mulk gaye.

Nurson ki tadad 2024 mein 2 hazar 30, 2025 mein ek hazar 639 aur 2026 mein ab tak 626 record ki gayi.

Pharmacists mein se 2024 mein 155, 2025 mein 183 aur 2026 mein ab tak 156 afrad bairon-e-mulk gaye, jabke dental surgeons ki tadad bil-tarteeb 84, 63 aur 45 rahi.

IT ke shobe mein 2024 mein ek hazar 351 computer programmers bairon-e-mulk gaye, 2025 mein ek hazar 147 jabke 2026 mein ab tak 664 ne bairon-e-mulk rozgar hasil kiya. System analysts ki tadad 2024 mein 388, 2025 mein 362 aur 2026 mein ab tak 243 rahi.

Aala maharat yafta Pakistanion mein se 2024 mein ek hazar 616, 2025 mein ek hazar 510 aur 2026 mein ab tak 681 afrad bairon-e-mulk gaye.

Maliyati tajziya kaaron ki tadad 2024 mein 683, 2025 mein 923 aur 2026 mein ab tak 424 rahi. Mushiron mein se 2024 mein 836, 2025 mein 512 aur 2026 mein ab tak 228 afrad bairon-e-mulk gaye.

Budget controllers ki tadad bil-tarteeb 64, 38 aur 18 rahi, jabke pilots mein se 2024 mein 33, 2025 mein 37 aur 2026 mein ab tak 11 afrad bairon-e-mulk rozgar ke liye gaye.

Dastawezat mein shamil aadad o shumar ke mutabiq mukhtalif pesha waranah shobon se talluq rakhne wale Pakistani bairon-e-mulk mulazmatein hasil kar rahe hain.