PTI aur kalaadam TTP ek hi sikke ke do rukh hain: Akhtiyar Wali

Apne bayan mein Akhtiyar Wali Khan ne daawa kiya ke PTI ne TTP ko apna askari wing aur TTP ne PTI ko apna siyasi wing bana rakha hai, PTI aur dehshatgard tanzeemon ke rawabit ke shawahid ko nazarandaz nahin kiya ja sakta.
Unhon ne kaha ke wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa Sohail Afridi ke saath guzishta roz ek video mein nazar aane wale naujawan ka talluq kalaadam tanzeem se hai, aise anasir masajid aur awam par hamlon samet khawateen aur bachon ko tashaddud ka nishana banane mein mulawwis hain.
Akhtiyar Wali Khan ne PTI par dehshatgard tanzeemon ki funding, sponsoring aur sahulat kari ka ilzam bhi aaid kiya aur bataya ke Zakir Ullah ki tasaweer PTI ke mutaddid MNAs aur MPAs ke saath maujood hain.
Unhon ne daawa kiya ke PTI ke march, jalson aur dharnon mein kharji anasir ki shamooliyat ke shawahid maujood hain aur Islamabad mein PTI ke ehtijaj ke dauran kiye gaye hifazati iqdamat ki ek wajah dehshatgard anasir ka khatra tha.
Akhtiyar Wali Khan ne kaha ke Khyber Pakhtunkhwa mein mojooda hukumat ke hawale se bhi sanjeeda sawalat uth rahe hain aur ilzam aaid kiya ke soobe mein hukumat kalaadam tanzeemon ke numainda ke taur par kaam kar rahi hai. Unhon ne PTI rehnamaon se mutalba kiya ke woh in sargarmiyon aur waqiat se bakhabar ya bekhabar hone ke bare mein apni position wazeh karein.
Unhon ne Junaid Akbar se bhi soobe mein jari sargarmiyon aur muamlat par apna mauqif wazeh karne ka mutalba karte hue kaha ke PTI ke siyasi rehnuma batayen ke woh dehshatgardi ke waqiat aur sargarmiyon ke hawale se kahan khade hain aur mubayyana shawahid ko kis bunyad par musterd karte hain.
Akhtiyar Wali Khan ne kaha ke ‘Ishq-e-Bani’ ki aar mein Islamabad par yalghar aur 9 May jaise waqiat ka kya jawaz hai, jabke isi aar mein October aur 26 November jaise waqiat bhi dohraye gaye.
Unhon ne Khyber Pakhtunkhwa mein Aman o Aman ki surat-e-haal par tashweesh ka izhar karte hue kaha ke soobe mein dehshatgardi ke waqiat aur shahadaton mein izafa ho raha hai. Un ke mutabiq soobe mein Aman o Aman ki zimmedari hukumat aur cabinet par aaid hoti hai aur qanoon ki hukmarani ke liye hukumat ko apni zimmedari poori karna hogi.
Akhtiyar Wali Khan ka kehna tha ke muamla ab Social Media aur TikTok se aage barh chuka hai aur Pakistan mein is silsile ko mazeed jari nahin rehne diya ja sakta. Unhon ne tamam siyasi jamaaton aur stakeholders par zor diya ke woh apni position wazeh karein.
Unhon ne PTI ke jamhuriyat, qanoon aur aman pasand karkunon se bhi mutalba kiya ke woh apna mauqif wazeh karein. Akhtiyar Wali Khan ne kaha ke march aur rallyon ki aar mein intishar ki Siyasat mazeed qabool nahin ki jayegi aur siyasi jamaaton ko apne talluqat aur wabastagiyon se mutaliq qaum ko jawab dena hoga.











