رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 22° Juzvi badal 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Pakistan ko duniya ki 24 wein badi maishat aur G20 ka hissa banana hadaf hai: Ishaq Dar

Pakistan ko duniya ki 24 wein badi maishat aur G20 ka hissa banana hadaf hai: Ishaq Dar

London mein media se guftagu karte hue Ishaq Dar ka kehna tha ke Britain ka daura intehai musbat aur kamyab raha, Pak-Britain taluqat ko nayi bulandiyon par le jana chahte hain, British hukkam ke sath mulaqaton mein do tarfa taluqat mazeed mazboot banane par ittefaq hua hai.

Unhon ne kaha ke 2017 mein Pakistan tezi se maashi taraqqi kar raha tha, taham mulk ki maashi taraqqi ka safar rok diya gaya, agar yeh safar na roka jata to aaj Pakistan ka shumar duniya ki badi maishaton mein hota.

Naib wazir-e-azam ka kehna tha ke Pakistan default ke khatre se nikal chuka hai aur mulki zarmubadla ke zakhair mein numayan behtari aayi hai, maishat ka pahiya chal para hai aur Pakistani maishat mein ab istehkam aa chuka hai.

Ishaq Dar ne kaha ke Mehngai 30 fisad se kam ho kar single digit mein aa chuki hai, jabke policy rate 22 fisad se kam ho kar sarhe 11 fisad par aa gaya hai, maashi istehkam ke baad ab hukumat ki tawajjo iqtisadi taraqqi aur sharah-e-numu barhane par markooz hai.

Un ka kehna tha ke maashi taraqqi ke nateeje mein per capita amdani aur awam ka miyar-e-zindagi behtar hoga, hukumat ka hadaf Pakistan ko dobara 2017 ke maashi ishariyon tak le jana, mulk ko duniya ki 24wein badi maishat banana aur G20 mein shamil karna hai.

Naib wazir-e-azam ne mazeed kaha ke Pakistan aalmi satah par apni safarati zimmedariyan bharpoor andaz mein ada kar raha hai aur poori duniya Pakistan ki safarati koshishon ko saraah rahi hai.