Mustafa Kamal jis din munazre ka kahen, main tayyar hoon: Murtaza Wahab

Shehr-e-Quaid ke Shadman Town mein Murtaza Wahab ne park aur IT center ki bahali ke mansoobe ka iftetah kar diya, mansooba aik karor 45 lakh rupay ki lagat se mukammal kiya gaya hai.
Is mauqe par media se guftagu karte hue un ka kehna tha ke Shadman Town mein kachre ke dher ko park mein tabdeel kar diya gaya hai, aik acre se zaid raqbe par qaim park ko jadeed sahuliyat se aarasta kiya gaya hai, park mein bachon ke liye play area, jhoolay, ghaas, jabke 100 se zaid naye darakht aur paudhe lagaye gaye hain.
Mayor Karachi ne bataya ke park ke sath nawjawanon ke liye IT center bhi qaim kiya gaya hai, jahan muft IT courses karaye jayenge, artificial intelligence bhi muft parhai jayegi, taake nawjawan jadeed hunar hasil karke rozgar ke mauqe hasil kar sakein.
Murtaza Wahab ka kehna tha ke dunya bhar mein IT ka shobah rozgar ke liye behtareen mauqe faraham kar raha hai, freelance kaam karne walon ko bhi baizzat rozgar ke mauqe faraham karna chahte hain.
Unhon ne kaha ke IT center 180 murabba meter raqbe par mushtamil hai, jis mein 8 kamre, daftar, store, bawarchi khana aur baitul khala sameet deegar sahuliyat faraham ki gayi hain, mansoobe mein park aur IT center ke liye bijli aur pani ki faraahmi aur sewerage connection ko bairooni network se mansalik karne ka kaam bhi shamil hai.
Mayor Karachi ka kehna tha ke hum har district mein is tarah ke park banayenge, Karachi mein tezi se taraqqiyati kaam ho rahe hain aur mazeed taraqqiyati kamon ka silsila 15 September se shuru hoga, Town ki sarkein bhi banayenge.
Wahab Murtaza ne kaha ke ab Karachi mein kaam hota hua nazar aa raha hai, shehr ka infrastructure behtar ho raha hai aur shehriyon ko jadeed sahuliyat faraham ki ja rahi hain.
Un ka kehna tha ke KMC ke pas wasail aur ikhtiyarat mojood hain, ab ikhtiyarat aur wasail ka rona rone ka waqt nahin, farq sirf qiyadat ka hai aur Karachi ki qiyadat Karachi walon ke hath mein hai, Peoples Party ne jo wada kiya use poora kiya aur taraqqiyati kamon ka silsila jari rahega.
Mustafa Kamal ke bayan par radd-e-amal dete hue Mayor Karachi ka kehna tha ke Mustafa Kamal jis din munazra karne ke liye kahen, main tayyar hoon, main aaj bhi field aur ground mein hoon jabke Mustafa Kamal thande kamre mein baith kar press conference karte hain, woh hafte mein sirf aik din Karachi aate hain.
Murtaza Wahab ne kaha ke unhen apne mukhalifin se himayat ki tawaqqo nahin, jamhooriyat ki tareekh utha kar dekh lein, mukhalifat hoti hai, Karachi wale boori band hartalon aur tashaddud wala Karachi nahin chahte, ab pahiya jam nahin chalega.
Un ka Mustafa Kamal ko mukhatib karte hue kehna tha ke teen sau arab rupay ki manzoori ke kaghazat dikhayen aur batayen ke yeh raqam kab council se manzoor karai gayi.
Mayor Karachi ne mazeed kaha ke Mustafa Kamal ghusse mein jald aa jate hain, woh wazir-e-Sehat hain, apni Sehat ka bhi khayal rakhen, MQM aur Peoples Party ki soch mukhtalif hai.











