Monsoon ka satwan spell mulk mein dakhil, Lahore mein aaj aur kal barish ka imkan

Mehkama mausamiyat ke mutabiq Lahore mein dopahar ke auqat mein badal barasne ke imkanat hain, jabke shehar mein aainda do roz ke dauran Mausam abr aalood rehne ki tawaqqo hai.
Mehkama mausamiyat ke mutabiq Lahore ka kam se kam darja hararat 28 jabke zyada se zyada 36 degree centigrade tak jane ka imkan hai.
Lahore mein maujooda darja hararat 31 degree centigrade record kiya gaya, jabke hawa mein nami ka tanasub 76 fisad tak pahunch gaya hai.











