رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 22° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Mazar-e-Quaid par guard tabdeeli ki purwaqar taqreeb, Pak Fizaiya ne faraiz sambhal liye

Mazar-e-Quaid par guard tabdeeli ki purwaqar taqreeb, Pak Fizaiya ne faraiz sambhal liye

Air Officer Commanding Pakistan Air Force Academy Asghar Khan Air Vice Marshal Hasan Faisal ne taqreeb mein bator mehman-e-khusoosi shirkat ki.

Pak Fizaiya ke cadets ne Mazar-e-Quaid par guards ki tabdeeli ki taqreeb mein parade ka shandar muzahira kiya, is parade mein 72 cadets par mushtamil chaq o chobaand dasta ne hissa liya jo 64 mard aur 8 khawateen cadets par mushtamil tha.

Pak Fizaiya ke cadets ne Mazar-e-Quaid par shandar parade ka muzahira karke Baba-e-Qaum Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ko munfarid andaz mein khiraj-e-aqeedat pesh kiya.

Pak Fizaiya ke cadets ki janib se guards ke faraiz sambhalne ki taqreeb Youm-e-Difa ke moqe par Baba-e-Qaum ko khiraj-e-aqeedat pesh karne aur qaumi jazbe ki tajdeed ka munfarid izhar hai.

Air Vice Marshal Hasan Faisal ne Baba-e-Qaum ke mazar par hazri di aur mazar par phoolon ki chadar charhayi. Is moqe par unhon ne kaha ke Pak Fizaiya ne guzishta saal Bharati jarhiyat ka munh tor jawab de kar ek baar phir apni difai salahiyat sabit ki.

Air Vice Marshal Hasan Faisal ne kaha hai ke 1965 ki jang ho ya Marka-e-Haq, Pak Fizaiya ne mulki salamati ko hamesha apna azm banaya aur qaum ki umeedon par poori utri. Unhon ne kaha ke Pakistan ki fizai hudood ka difa Pak Fizaiya ke hathon mein hai aur mulki khudmukhtari o waqar par koi samjhota nahin kiya jaye ga.

Unhon ne kaha ke Pak Fizaiya har daur mein mulki salamati ke difa ke liye purazm rahi hai aur mustaqbil mein bhi Pakistan ki fizai hudood aur khudmukhtari ke tahaffuz ke liye apna kirdar bharpoor andaz mein ada karti rahe

Mauzuaat: