Makkah muahida aik difai ittehad, Saudi Arabia ki khudmukhtari ki himayat jari rakhenge: Foreign Office

Wizarat-e-khaarja ke tarjuman Sajjad Haider Khan ne haftawar press briefing mein wazeh kiya hai ke Pakistan, Turkey aur Saudi Arabia ke darmiyan tay paane wala Makkah muahida aik difai ittehad hai aur filhal ise mazeed mumalik tak wusat dene ka koi mansooba nahin hai.
Tarjuman Foreign Office ne baradar islami mulk Saudi Arabia ki khudmukhtari aur salamti ke mukammal ehtaram ka aaada kiya aur kaha ke Pakistan Saudi Arabia ki khudmukhtari, salamti aur ilaqai salamiyat ki himayat jari rakhega.
Unhon ne bataya ke Pakistan aur Saudi Arabia ke darmiyan do tarfa difai taawun bhi jari hai, Saudi Arabia mein Pakistani forces tarbiyat aur logistic maqasid ke liye mojood hain, difai muahida aik chhatri ki haisiyat rakhta hai, is ke tehat mazeed tareeqa-e-kaar tay honge.
Unhon ne yeh bhi bataya ke difai muahide par amal dar aamad ke liye kuch waqt darkar hoga, Pakistan aur Saudi Arabia ke difai taawun ke mazeed pehlu jald samne aayenge.











