Legendary footballer Roberto Carlos ne Islam qabool karne ki khabron ko be bunyad qarar de diya

Arab media ke mutabiq 53 saala sabiq Brazilian star ne wazeh kiya ke woh Islam aur Muslim community ka behad ehtiram karte hain, taham un ke Musalman hone ki khabren durust nahin hain.
Unhon ne haliya qayas aaraiyon ke baad Instagram story ke zariye wazahat karte hue kaha ke woh Islam qabool nahin kar chuke, woh Islam samet tamam mazahib aur aqaid ka ehtiram karte hain.
Roberto Carlos ke Islam qabool karne ki khabren us waqt samne aayin jab Turk media aur ek Turk rukn-e-parliament ki jaanib se daawa kiya gaya ke sabiq Football player ne Brazil mein ek Musalman aalim se mulaqat ke douran kalma-e-shahadat parh kar Islam qabool kiya hai, taham un ki jaanib se barah-e-raast tardeed ke baad yeh daawa mustarad ho gaya.
Reports mein kaha gaya ke footballer ne haal hi mein Moroccan nizad Football agent Suhaila Al Tahiri se shadi ki, jis ke baad shadi ki taqribat ki aisi tasaveer bhi samne aayin jin mein Islami aur Moroccan rawayat nazar aayin, in tasaveer ko bhi un ke Islam qabool karne ki afwahon ki wajah qarar diya gaya.
Roberto Carlos ne wazahat ki ke shadi ki mukhtalif taqribat donon khandanon ke mazhabi aqaid aur rawayat ko madde nazar rakhte hue munaqid ki gayi thin, is liye Islami rawayat ki mojoodgi ko un ke mazhab tabdeel karne se tabeer nahin kiya ja sakta.
Unhon ne wazeh kiya ke agar woh mustaqbil mein Islam qabool karne ka faisla karte hain to us ka elan khud karenge.











