رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 19° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Tri-series: Irfan Minhas ki 6 wicketein, Pakistan ne England ko 87 runs se hara diya

Tri-series: Irfan Minhas ki 6 wicketein, Pakistan ne England ko 87 runs se hara diya
File photo: Cricketer Arafat Minhas — Tasveer: Bashukriya thecricketpaper.com

Rawalpindi: Pakistan ne home tri-series ke dusre ODI international match mein Irfan Minhas ki shandar all-rounder karkardagi ki badaulat England ko 87 runs se shikast de kar final ke liye raah hamwar kar li.

Rawalpindi Cricket Stadium mein England ke captain Harry Brook ne toss jeet kar pehle fielding ka faisla kiya. Pakistan ne muqarrara 50 overs mein 9 wicketon ke nuqsan par 302 runs banaye.

Pakistani batting

Hasan Nawaz ne 74 gendon par 5 chaukon aur 4 chhakkon ki madad se 79 runs ki numayan innings kheli. Irfan Minhas ne 59, Faheem Ashraf ne 39, Saad Baig ne 35, Babar Azam ne 34, Salman Ali Agha ne 16 aur Saim Ayub ne 8 runs banaye.

Shaheen Shah Afridi 10 aur Haris Rauf 4 runs ke sath not out rahe, Naseem Shah ek run bana sake jabke Fakhar Zaman baghair koi run banaye pavilion laut gaye.

England ki janib se Sonny Baker ne 3 aur Gus Atkinson ne 2 wicketein hasil kin, jabke Will Jacks, Jamie Overton, Adil Rashid aur Sam Curran ne ek ek khilari ko out kiya.

England ki innings

303 runs ke hadaf ke taaqub mein England ki puri team 38.4 overs mein 215 runs par dher ho gayi. Tom Banton 57 runs ke sath numayan rahe, Ben Duckett ne 45, Joe Root ne 33, Sam Curran ne 27, Will Jacks ne 19 aur Jordan Cox ne 18 runs banaye.

Gus Atkinson 7, Harry Brook 5 aur Jamie Overton ek run bana kar out hue, Adil Rashid sifar par pavilion laute jabke Sonny Baker ek run ke sath not out rahe.

Irfan Minhas ne jadooi bowling karte hue mehaz 40 runs ke awaz 6 wicketein hasil kin aur English batting line ki kamar tor di. Haris Rauf ne do aur Naseem Shah ne ek wicket li.

Irfan Minhas ko behtareen all-rounder karkardagi par player of the match qarar diya gaya. Tri-series ka teesra match Jumeraat ko Sri Lanka aur England ke darmiyan khela jaye ga.