Japan aur America ki bari mushtarka fauji mashqen shuru, 29 October tak jari rahengi

Tokyo: Japan aur America ke darmiyan bare paimane par mushtarka fauji mashqen shuru ho gayi hain, jo 29 October tak jari rahengi.
Rusi khabar rasan idare ke mutabiq Keen Sword nami in mashqon ka daira Taiwan ke qareeb samundri hudood se Japan ke shimali jazire Hokkaido tak phaila hua hai. In mein Japan ke taqriban 45 hazar aur America ke 12 hazar fauji hissa le rahe hain. Australia, Germany aur France samet 7 mumalik ke fauji ahalkaron ki shirkat bhi mutawaqqe hai.
Naye hathiyaron ki taenati
Mashqon ke dauran Japan pehli martaba apne naye Type 25 mobile missile soobah Kumamoto mein waqe adde se bahar taenat karega. In missilon ki maar karne ki salahiyat taqriban ek hazar kilometre hai. Donon afwaj in hathiyaron ki rehnumai aur taenati mein bahmi rabte ki mashq karengi, taham missile daghne ka koi amali muzahira nahin kiya jayega.
American fauj bhi pehli martaba apna Navy Marine Expeditionary Ship Interdiction System aur Marine Air Defense Integrated System Japan ke jazire Yonaguni par taenat karegi. Yeh nizam drones aur deegar kam bulandi par parwaz karne wale ahdaf ka muqabla karne ke liye tayyar kiye gaye hain.
Mashqon ki nauiyat
Jazira Hokkaido mein ballistic missilon aur fazai hamlon ko nakam banane ki tarbiyat di jayegi. Japan ke mukhtalif ilaqon mein samundar ke raste fauji dastay utarne aur parachute ke zariye ahalkaron ko zameen par utarne ki mashqen bhi hongi. Zakhmi fauji ahalkaron ke inkhla ke liye bahmi rabte ki mashq bhi ki jayegi.
Shareek afwaj khala aur cyber space mein hone wale hamlon ke jawab mein karrawaiyon ki bhi mashq karengi. Keen Sword mashqen har do saal baad munaqid hoti hain aur in ka bari bari inaqad America aur Japan ki mushtarka command post mashqon Keen Edge ke sath hota hai.











