J D Vance: Iran se nuclear program par hatmi yaqeen dehani chahte hain, tanaza khatam hua to eendhan sasta hoga

Washington: Iran aur Amrika ke darmiyan tanaza khatam karne ke liye ab tak koi hal nahin nikla, jabke yeh larai aathwen mahine mein dakhil ho chuki hai. Is dauran Amriki naib sadr J D Vance ne kaha ke Washington nuclear maamle par Tehran se hatmi yaqeen dehani chahta hai.
Vance ne itwar ko interview dete hue kaha ke hum Iranion se hatmi aur pukhta yaqeen dehani hasil karna chahte hain ke woh apne nuclear program ko dobara tameer nahin karenge.
Unhon ne yeh bhi kaha ke Iran ke saath tanaza khatam hone par Amrika samet duniya bhar mein eendhan ki qeematon mein kami aayegi.
Jang jari rehne ka moqif
J D Vance ne zor diya ke Amrika ne Iran ke nuclear program ko tabah kar ke wahan faisla kun kamyabi hasil ki hai. Taham unhon ne kaha ke Iran ko apni nuclear salahiyatein dobara bahal karne se rokne aur tawanai ki aalmi faraahmi ke bohran se bachne ke liye jang jari rehni chahiye.
Vance ne kaha ke main sab se pehle yeh tasleem karunga ke eendhan ki qeematein bohat zyada hain, lekin agar Amriki bahriya Strait of Hormuz ke raste tel aur gas ki tarseel jari na rakhti to yeh qeematein teen guna zyada hotin.











