رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Iran se deal ho na ho, jang mein jeet America ki hogi: Trump

Iran se deal ho na ho, jang mein jeet America ki hogi: Trump

Americi sadr Donald Trump ne Iran se deal hone ya ilaqe mein mazeed fauj bhejay jane se mutaliq istafsar par apne jawab mein kaha ke hum ya to koi acha muahida karenge, ya phir koi muahida karenge hi nahin.

Trump ne kaha ke dawa kiya ke America Abnai Hormuz se jahaz raat ko nikalta hai kyunke Iran ko pata hi nahin chalta, Iran ke radar tabah kiye ja chuke hain.

Unhon ne kaha ke Iran mein Mehngai 300 feesad hai, maishat aise darje par hai jo Iran ne kabhi dekhi nahin thi. Kisi deal ke zariye ho ya nahin magar is jang mein jeet America ki hogi.

Trump ne kaha ke Iran muahida chahta hai lekin mere khayal mein woh abhi taiyar nahin hain, America ne Tehran ki johri missile banane ki salahiyat khatam kar di hai, agar America ne Iran par hamla na kiya hota to Iran nuclear bomb banane mein kamyab ho jata, Iran bari asani se johri hathiyar istemal kar leta.

Unhon ne kaha ke Iran is waqt bohat kamzor position mein hai, Abnai Hormuz par America ka control hai.

Is se qabl guzishta roz Americi sadr Donald Trump ne kaha tha ke umeed hai Iran mein jari jang apne ikhtitam ki janib barh rahi hai.