Iran ne jang shuru nahin ki, difa par majboor hua: Masoud Pezeshkian

Irani khabar rasan idare IRNA ke mutabiq Bharati TV ko interview mein unhon ne American aur Israeli hamlon ko International qawanin aur insani usoolon ki khilaf warzi qarar diya aur kaha in hamlon ke bawajood Irani qaum mazeed muttahid hui.
Irani sadr ne Iran ke jawhari programme par American aur Israeli aitrazat ko mustarad karte hue kaha ke ‘Iran jawhari hathiyar hasil karne ki koshish nahin kar raha, America aur Israel ne muzakrat ke dauran hamla kiya, Tehran muahide ke qareeb tha, Iran ne ek framework par ittefaq kiya lekin American sadr Trump ne use mustarad kar diya.
Sadr Masoud Pezeshkian ne Muttahida Arab Emirates, Saudi Arab, Pakistan, Qatar, Russia aur China samet hamsaya mumalik ke sath Iran ke talluqat ko dostana qarar diya aur kaha khitte mein American fauji adde bunyadi masla hain.











