رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Iran ko tabah karne se mutaliq American sadar ke bayanat ghair zimmedarana hain: Irani sadar

Iran ko tabah karne se mutaliq American sadar ke bayanat ghair zimmedarana hain: Irani sadar

Irani sadar Masoud Pezeshkian ne media se guftagu mein bataya ke mein UN se khitab ke liye apni taqreer Iran se tay kar ke aaya tha, Aqwam-e-Muttahida mein American sadar ki taqreer sunne ke baad apni taqreer mein kuch tabdiliyan kin, American sadar ki taqreer ke baad taqreer mein apne mauqif ko mazeed sakht kiya.

Masoud Pezeshkian ne kaha ke America International qawanin aur insani usoolon ki khilaf warzi karta hai, Iran ko tabah karne se mutaliq American sadar ke bayanat ghair zimmedarana hain, Iran ko khatam nahin kiya ja sakta.