Iran ki Janubi Korea ko Khaleej-e-Fars aur Abnaye Hormuz se door rehne ki tanbeeh

Irani wizarat-e-kharija ke tarjuman Ismail Baqai ne kaha hai ke Iran aur Janubi Korea ke taalluqat 64 saal se zaid arse par muheet hain, Janubi Korea ke saath taalluqat baahmi ehtiram par mabni hain.
Ismail Baqai ne kaha ke Irani awam is waqt Amreeki jaarhiyat ke khilaf difa mein masroof hain, Khaleej-e-Fars ya Abnaye Hormuz mein kisi bhi mulk ki fauji moujoodgi jaarhiyat tasawwur hogi, Abnaye Hormuz mein Amreeki karrwaiyon mein kisi bhi mulk ki shirkat qabil-e-qabool nahin.
Unhon ne kaha ke kisi bhi khudmukhtar mulk ko Amreeki dabao aur dhamkiyon ke saamne nahin jhukna chahiye, America ne khitte par wahshiyana jang musallat ki aur ab is ki adaigi poori duniya se karane ki tawaqqo kar raha hai.
Unhon ne mazeed kaha ke America aur Israel ke hamle se qabl Abnaye Hormuz mukammal taur par khuli hui thi, America ki jaarhiyat ke nateeje mein tijarati jahaz rani ka nizam mutasir hua aur tawanai ki qeematon mein izafa ho raha hai, America duniya ke saamne apne hi paida karda khalal ko Iran ke naam karne ki koshish kar raha hai aur apni shuru ki gayi jang ki wajah Iran ke tarz-e-amal ko qaraar dena chahta hai.
Ismail Baqai ne kaha ke America ki jaanib se sirf Iran ko khitte mein afratafri ka zimmedar qaraar dena sarasar mazhaka khez hai.











