Iran aur America mazeed kashidagi rok kar muzakarat ki taraf wapas aayen: China

Mulaqat ke mauqe par China ne America aur Iran par zor diya ke woh mazeed kashidagi se gurez karte hue muzakarat ki taraf wapas aayen.
Chini wazir-e-kharija Wang Yi ne kaha ke China nahin chahta ke khitte mein kashidagi mazeed barhe aur Yemen o Bahira-e-Ahmar tak phail jaye.
Wang Yi ne America aur Iran se zer-e-iltawa muamilat par bamaani muzakarat karne aur Islamabad mufahimati yaddasht ke tehat tay pane wale ittefaq-e-raye ki bunyad par muzakarati framework bahal karne ka mutalba kiya.
Un ka kehna tha ke Washington aur Tehran ke darmiyan jari tanaza kisi bhi fareeq ke mufad mein nahin.











