Hukumat opposition mazakraat, PTI ko face saving mil jayegi, Sher Afzal Marwat

Rukn National Assembly Sher Afzal Marwat ne hukumat opposition mazakraat ko baraye naam qarar de diya.
Sher Afzal Marwat ne kaha ke faislay do din pehle hi ho chuke hain. Fareeqain mazakraat ko kamyab qarar denge. PTI march multawi kar degi. Hukumat bani ko hospital le jane aur mulaqatein bahal karne ka bataye gi.
Unhon ne kaha ke PTI ki march ki tayyari nahin, woh bhanwar mein phansi hui hai, ise face saving mil jayegi. March multawi hone ke baad hukumat PTI ko thenga dikha degi
Mauzuaat:PTI











