رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 19° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

FBR se munsalik na honay walay karobari marakiz seal karne ka faisla

FBR se munsalik na honay walay karobari marakiz seal karne ka faisla

Naye qawaid ke tehat mutalliqa karobari marakiz ke liye production monitoring, video surveillance ya digital eye system nasb karna aur ose FBR ke monitoring system se munsalik karna lazim hoga, system se munsalik na honay walay registered karobar karrawai ki zad mein aayenge.

FBR ke mutabiq zarurat parne par karobari maqam seal karne ke liye police ki madad bhi hasil ki ja sakay gi, karobar seal karne ke tareeqa kar ko bhi notification mein wazeh kar diya gaya hai.

Qawaid ke mutabiq assistant commissioner Inland Revenue ya is se upar ka afsar tehreeri report commissioner Inland Revenue ko de ga, jis ki bunyad par karrawai shuru ki ja sakay gi, commissioner inquiry ke baad report chief commissioner ko bhejay ga, jo karobari maqam seal karne ya na karne ke hawale se tehreeri hukm jari kare ga.

Notification ke mutabiq karobari maqam mukammal tor par ya is ke kisi makhsoos hissay ko seal kiya ja sakay ga, taham seal karne se qabl karobari shakhs ko hukm ki copy faraham karna lazim hoga.

FBR ke mutabiq karobari maqam us waqt tak seal rahe ga jab tak monitoring system FBR ke nizam se munsalik nahin ho jata, seal shuda karobar khulwane ke liye jurmana ada karne ke sath monitoring system nasb karna hoga.

Monitoring system ki tansib ke waqt FBR ki technical team maujood hogi, jabke system nasb aur FBR se munsalik honay ke baad commissioner teen roz ke andar certificate jari kare ga.

FBR ke mutabiq electronic monitoring se mutalliq yeh qawaid mustaqbil mein mazid karobari marakiz aur manufacturers par bhi lagu kiye ja sakte hain.

Mauzuaat: