Chhote karobaron ke liye Shariah compliant digital financing ki manzoori

SECP ke mutabiq shamil kar tajir app ke zariye manzoor shuda suppliers se karobari saman kharidne ke liye financing hasil ki ja sakegi, jabke nayi digital financing sahulat se chhote karobaron ko bazabta credit nizam tak rasai milegi.
Chairman SECP Dr Kabir Ahmed Sidhu ne kaha ke digital distribution ke zariye financing se mehroom karobaron ko qarzon ki faraahmi mumkin banayenge aur digital financing barhane ke sath sath sarfin ke tahaffuz ko bhi yaqeeni bana rahe hain.
SECP ke mutabiq guzishta ek saal ke dauran non banking companies ne chhote karobaron ko 253 arab rupees ke qarz faraham kiye, jabke ek saal ke dauran 25 lakh afraad ko chhote karobaron ke liye financing faraham ki gayi hai.
Mauzuaat:Mutafarriq











