رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Asia Cup mein hamare liye tamam matches aham hain: Fatima Sana

Asia Cup mein hamare liye tamam matches aham hain: Fatima Sana

Lahore mein press conference karte hue Fatima Sana ka kehna tha ke England ki The Hundred League mein khelne se unhein bahut faida hua, yeh un ke liye aizaz ki baat hai ke woh England mein league khelne wali pehli Pakistani khatoon cricketer bani hain.

Unhon ne kaha ke The Hundred mein achi karkardagi se Pakistan ki deegar khilariyon ke liye bhi mauqe ke darwaze khulenge.

Asia Cup ke hawale se un ka kehna tha ke Dubai ki conditions se woh waqif hain aur guzishta series mein hone wali ghaltiyon ko is baar nahin dohraya jayega.

Qaumi women team ki captain ne mazeed kaha ke Asia Cup mein har match ahmiyat rakhta hai, is liye team kisi aik muqable par tawajjo dene ke bajaye poore event mein achi karkardagi dikhane ke liye purazm hai.

Mauzuaat: