رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

America ka Mashriq-e-Wusta mein apne shehriyon ke liye security alert jari

America ka Mashriq-e-Wusta mein apne shehriyon ke liye security alert jari
File photo: American mahkama kharija ki imarat — Tasveer: Bashukriya diplomacy.state.gov

Washington: America ne Mashriq-e-Wusta mein apne shehriyon ke liye security alert jari kar diya hai.

Ghair mulki media ke mutabiq Mashriq-e-Wusta ke 12 mumalik ke American sifarat khanon ne alert jari kiya hai. Arab media ka kehna hai ke yeh alert Iran aur Yemen ki Houthi militia ke hamlon ke khatraat par jari kiya gaya.

Alert mein Jordan, Iraq, Iran, Yemen, Lebanon aur Syria samet khaleeji mumalik shamil hain.

American hukkam ne kaha hai ke Iran aur us ke hamayati groups American shehriyon aur American mufadat ko nishana bana sakte hain. Khitte mein American shehri parwazon ki mansookhi aur fizai bandish se mutaliq ba-khabar rahen.

Hukkam ka kehna hai ke American shehri Mashriq-e-Wusta ke kasheeda ilaqon ke safar se gurez karen.