رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Abnaye Hormuz mein jahazon ke liye nayi pabandi, khilaf warzi par bhari jurmana muqarrar

Abnaye Hormuz mein jahazon ke liye nayi pabandi, khilaf warzi par bhari jurmana muqarrar

Irani khabar rasan idare Fars ke mutabiq aise jahazon par un ke saman ki majmui maliyat ka 20 feesad jurmana aid kiya jaye ga.

Irani parliament ki qaumi salamti aur kharja policy committee ke tarjuman Hassan Qashqavi ke mutabiq committee ne Abnaye Hormuz se mutalliq mujawwaza qanoon ki baaz shaqon ki manzoori di hai. In shaqon ke tehat khilaf warzi karne wale jahazon se jurmana wusool karne ke sath unhein aarzi taur par tehweel mein bhi liya jasakega.

Qashqavi ke mutabiq jahaz ko us waqt tak roke rakhne ki ijazat hogi jab tak muqarrara jurmana ada nahin kar diya jata, nayi shaqon mein Abnaye Hormuz mein jahazon ki amad-o-raft ke hawale se Iran ke tay kardah qawaid par amal dar amad ko yaqeeni banane ke liye mazeed qanooni iqdamat bhi shamil hain.

Yeh pesh raft aise waqt mein samne aayi hai jab khitte mein kashidagi ke baais Abnaye Hormuz mein tijarati jahazon ki amad-o-raft numayan taur par kam hui hai.

Reuters ke mutabiq 21 September ko sirf do bare tijarati jahaz Abnaye Hormuz se guzre, jabke tanazea se qabl rozana ausatan taqriban 125 bare tijarati jahaz is aham bahri raste se guzarte the.

Abnaye Hormuz Khaleej-e-Fars se aalmi mandiyon tak tel aur deegar tawanai masnooat ki tarseel ke liye intehai aham bahri rasta hai. Iran ki janib se naye zawabit aur jurmanon ka elan aise waqt mein hua hai jab is raste ki security aur tijarati jahazon ki naql-o-harkat pehle hi aalmi satah par tawajjo ka markaz bani hui hai.

Mauzuaat: