رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Abnaye Hormuz ke qareeb 6000 mallah phanse hue hain, United Nations ke maritime sarbarah ki warning

Abnaye Hormuz ke qareeb 6000 mallah phanse hue hain, United Nations ke maritime sarbarah ki warning
File photo: Abnaye Hormuz — Tasveer: Bashukriya Wikipedia

New York: United Nations ke maritime chief ne khabardar kiya hai ke tijarati behri jahazon par barhte hue hamlon ke darmiyan hazaron mallah Abnaye Hormuz ke qareeb phanse hue hain. Unwan ke mutabiq un ki tadad 6000 hai.

Financial Times ke mutabiq yeh warning un reports ke darmiyan samne aayi hai ke taqriban do hafton ke dauran aabi guzargah par 24 behri jahazon par hamla kiya gaya hai, jis se khitte mein samandari hifazat ke bare mein khadshat barh gaye hain.

International Maritime Organization ke secretary general Arsenio Dominguez ne Fox News Digital ko bataya,