Russia ke Ukraine par bare hamle, Kyiv mein aik shakhs halak, do zakhmi

Moscow: Russi wizarat-e-difa ka kehna hai ke Russia ne Ukraine ke dar-ul-hukumat Kyiv samet mukhtalif ilaqon mein bare paimane par hamle kiye, jin mein Ukraine ki fauji aur sanaati tansibat ko nishana banaya gaya.
Wizarat-e-difa ke bayan ke mutabiq hamlon mein cruise missiles aur drones ke zakhira markaz aur data markaz ko bhi hadaf banaya gaya.
Russi wizarat-e-difa ke mutabiq bahira-e-aswad mein Ukraini bandargah ke qareeb aik maal bardar jahaz par bhi hamla kiya gaya. Russia ka kehna hai ke jahaz ke zariye fauji saz o saman muntaqil kiya ja raha tha.
Dusri taraf Kyiv ke mayor ke mutabiq guzishta raat Russi fazai hamle mein aik shakhs halak aur do zakhmi hue, jabke aik tibbi markaz aur aik imarat ko bhi nuqsan pahuncha.
Mauzuaat:Russia











